Kashmakash

Tumhe jaate hue dekhte rehgayi
Bechain mann alvida keh na saka

Yun toh nigaahon ne sab kehdia
Magar honton se lafz nikal na saka
Najaane kitne naghme likhe tumpe
Par izhaar-e-dil kabhi kar na saka


Ab tanhayi aur ajeeb kashmakash mein uljhe hai
Kya yehi hai jisse zamaane mein adhoora ishq kehte hai?